KASH

Saturday, May 22, 2010


tera har dard mujh ko tadpata hai,
tera har ashaq mujh ko rulata hai,
har taraf ek udasi hai.
kuch bhi is dil ko nahi behlata hai.......

tere unkahe lafazon ki zubaan
teri tanha nazron ki dastaan
teri har saans ka bikharna,
tera gehri -gehri aahein bharna,
meri aankhon ko purnam kar jata hai,
kuch bhi na mujh ko bhata hai.
kuch bhi na is dil ko bhehlata hai............

gumon ka sehra hai ,mayusi hai,
har taraf bikhari khamoshi hai,
phir ek aag seene mein dehki hai,
phir wohi gum ka aalam hai,
mujh ko bebas kar jata hai.......
kuch bhi na is dil ko bhehlata hai............

0 comments: