KASH

Friday, September 18, 2009

Apna kya karoon main???????


Agar tera pyaar mere naseeb mein nahin;

to khudai ka be kya karoon main?

agar tu samne nahin; 

to nazaron ka kya karoon main?

agar tera haath haath mein nahin; 

to manzilon ka kya karoon main?

agar tere aane ki aahat nahin; 

to kiska intezaar karoon main?

agar tere naam mera naam mein shamil nahin; 

to is pehchan ka kya karoon main?

agar teri iibaadat mera haq nahin; 

to sajda kar ke kya karoon main?

agar teri judai mera naseeb hai; 

to is zindgi ka kya karoon main?

agar tu mera 'ARMAAN'nahi; 

to khwahish saza ke kya karoon main?

agar tu hi mera nahin; 

to apna kya kroon main?????????????????????????

0 comments: