She took initiative to open my heart in front of u.
One more thing i wanna mention it dedicated to all 'Karnians'.Who feel he is an
'Angel' and Specially send on earth for us.
Armaan
Armaan hai tere pyaar ko panne ka.
Armaan hai tujh mein samane ka
Armaan hai teri dhadkan choo loon,
Armaan hai teri bahoon mein jee loon.
Armaan hai teri ho jaoon,
Armaan hai tujh mein khoo jaoon
Armaan hai teri sansoon mein uttar jaoon,
Armaan hai tere pyaar pa ke nikhar jaoon .
Armaan hai in neeli aankhon mein rahoon,
Armaan hai tere ehsaason mein rahoon .
Armaan hai ‘Armaan’ ko panne ka ,
Armaan hai shiddat se tujhe chane ka.
Jab be laboon pe tera naam atta hai ,
Ek shola dil mein dhahak jata hai .
Saans mehak-ne lagti hai khud-b –khud
Tujh mein samane ka khyaal atta hai.
Naaz hai mujh ko apni deewangi par,
aaene mein be tera akas nazar atta hai.
Tujh se ho kar gujaroon toh shyad mar hi jaoon,
Tera tasavur(imagination)be jab mujhe pigala jata hai.
Sharam se aankhen meri jhuk jati hain,
Teri taraf se jab koi pegam atta hai.
Raat badi bojhal si lagti hai ab mujh ko,
Bin teri dhadkan sune “janu” ko kahan aaram atta hai.


0 comments:
Post a Comment